mira qaatil hai kahiN buch ke nah jaaye “Zainab”

lub pe naam “Aun.o.Mohammed” ka na laaye “Zainab”
hai yeh “Zainab” se taqaazaa.e wafaa.e “Zainab”
ruKh se zalim ke bahan tujhko uThaanee hai naqaab
mira qaatil hai kahiN buch ke nah jaaye “Zainab”
Shaah kahte they keh hai sabr hamaara paiGham
Shikwa.e zulm kabhee lub pe nah aaye “Zainab”
Bhaii “Abbas” ke humsar nazar aayegee bahan
paRhke dekho to kabhee baab.e wafaa.e “Zainab”
raawee kahta hai keh Hakim ka larazne laga dil
gooNjee darbar meN jis lamha sadaa.e “Zainab”
saaya.e chaader.e tat’heer nahiN chhin saktaa
laakh chheeney koii “Zainab” se ridaa.e “Zainab”
deen.e Huq zulm ke sholoN meN ghira hai :Jawaid:
aaj “Sajjad” ko phir Kheme se laaye “Zainab”
Ghazee muqeem.e saaHil.e darya hai aaj tak

Ghazee muqeem.e saaHil.e darya hai aaj tak
yAAni usee ka nahr pe qabza hai aaj tak
aaqa kahe jo apne biraather ko saari umr
aaNkhoN ne aisa bhaaii nah dekha hai aj tak
tum ne kiya tha waar jo Ghaazee ki pusht per
daaman pe buzdili ka woh dhabba hai aaj tak
apnoN ka mulk ho ya kisee Ghair ka watan
sikka tiree wafaooN ka chalta hai aaj tak
tareeKh hai gawaah kisee tishna kaam ne
chullu meN leke aab nah pheka hai aaj tak
paani piya nah jis ne woh sairaab ho gaya
such poochiye tou darya hi pyaasa hai aaj tak
maula qubool kijiye jaisa bhi hai kalaam
“Jawaid” funne madH meN kachchaa hai aaj tak